2 Lines Judai Poetry In Urdu | Sad Judai Poetry Images
Wahan tak saath Chalte hain, Jahan tak saath mumkin hai,
Jahan halaat badaleinge, wahan tum bhi Badal Jana.
Aaj na hum se puchiye kesa Kamaal ho geya,
Hijar ke khauf main rahe aur visaal ho geya.
Waqt ki beWafai ki hai Mujhko,
Shikwa teri judayi ka hai.
Teri firaaq ke lamhen guzarne ke Liye,
Humne har Kisi se Bana ke rakhi hai.
Hazoor yaar mein aankhon ne lab kushayi ki,
Hazar ashk Bahe Shab e Judai ki.
Yoon khatam ho Raha hoon main tere hijr main,
Jese garmiyon main barff pahaarron ki.
Us ki muhabbat ne itna Mazboot Kia Mujh ko Faraz,
Faqat us ki judai keh Sewa Mujhe koi Tor Nahin sakta.
Khawb aankhon se gaye neend raaton se gayi,
Woh gaye to Laga Zindagi haathon se gayi.
Comments
Post a Comment