Mujhse Bicharey Arsa Biyta

2 Lines Judai Poetry In Urdu Sad Judai Poetry Images

Mujh se bichrre arsaa beeta,
Ab woh kis se larrta ho ga.

Tum Bhula Bhi Do To Haq Banta Hai Tumhara,
Mara Kya Ha Ma NY To Muhabat Ki Ha.

Judaayiyan to yeh maana Barri qayamat hain,
Rafaaqton main dukh kis qadar hain kya kehne.

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bahut Hai,
Aur Tuj Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Nahi Jata.

Phir yoon hua ke raaste yakjaa na ho sake,
Woh bhi anaa parasat they mein bhi anaa parasat.

Apni Tabiyat Ka Mizaaj Bhi Bahut Ajeeb Hai,
Log Maut Se Darte Hai Aur Ham Teri Judai Se.

Hum ne khud se bhi chupaya aur saare sheher ko,
Tere jaane ki khabar dewaar-o-dar karte rahe.

Agar Kabi Neend A Jaye Tu So Bi Liya Kar ‘Saghir’
Raaton Ko Jagte Rehne Se Bichre Lota Nahi Karte.

Bass ik tere bicharrne ki dair thi jese,
Simatt ke aa geya lamhon main qurb sadiyon ka.

Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha,
Lekin Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra.

Main tere milne ko mojza keh raha tha magar,
Tere bicharrne ka saaniha bhi kamaal guzra.

Kab Bhulaye Jate Hai Dost Juda Ho Kar Bi ‘Wasi’
Dil Tot Tu Jata Hai Rehta Phir Bi Sene Mai Hai.

Aankh se door na ho dil se utar jaye ga,
Waqt kya hai, guzarta hai guzar jaye ga.

Agar Wo Zindagi Mein Faqat Ek Bar Mera Ho Jata,
Tu Main Zamane Ki Kitabon Se Lafz Bewafai Hi Mita Deta.

Main tujhko bhool jane ke musalsal marhale main hoon,
Magar raftaar madham hai mujhe mehsuus hota hai.

Tujhe Bhulne Ki Koshishein Kabhi Kamyab Na Ho Sakain,
Teri Yaad shakh-e Gulab Hai Jo Hawa Chali Tu Mahak Gai.

Raas humko tanhaayi bhi nahin aati,
Har shakss se bezaar bhi hoon main.

Ishq Ka Apna Ghuror Husn Ki Apni Ana,
Un Se Aya Na Gaya Ham Se Bhulia Na Gaya.

Qaraar dil ko sada jiske naam se aaya,
Woh aaya bhi to kisi aur kaam se aaya.

Us Ne Ye Soch Kar Hame Alwida Keh Diya ‘Mohsin’
Ye Ghreeb Log Hain Muhabat Ke Siwa Kia Dey Gay.

Kya ghazab hai ke hijr ke din bhi,
Zindagi main shumaar hote hain..

Be waja Nahi Roota Ishq Main Koi ‘Ghalib’
Jisay Khud Se Barh Ke Chaha Ho Wo Rulata Zaroor Hai.

Doori ne kar diya hai tujhe aur bhi qareeb,
Tera khayaal aa ker na jaaye to kya karoon.

Judai aapki rulati rahegi, yaad aapki aati rehegi. Pal-pal jan jati rahegi,
jab tak jism mein hai jaan har saans dosti nibhati rahegi.

Waqeyi ab tera hijr mujhe chaat geya,
Apni tasveer puraani se pata chalta hai.

Comments

Popular Posts